jhankte log khule darwaze
jhāñkte log khule darvāze
chāñd kā shahr bane darvāze
kis kī aahaT kā fusūñ taarī hai
mahv haiñ aaj baḌe darvāze
bol ke deñ na kabhī dīvāreñ
sar paTaḳhte hī rahe darvāze
log mahfūz hue kamroñ meñ
barf kī zad meñ rahe darvāze
kabhī sūraj kī kabhī zulmat kī
maar sahte hī rahe darvāze
rāt-bhar chāñdnī Takrā.ī magar
sub.h hote hī khule darvāze
dekh vo 'shām' kī aahaT ubhrī
dekh vo band hue darvāze
jhankte log khule darwaze
chand ka shahr bane darwaze
kis ki aahaT ka fusun tari hai
mahw hain aaj baDe darwaze
bol ke den na kabhi diwaren
sar paTaKHte hi rahe darwaze
log mahfuz hue kamron mein
barf ki zad mein rahe darwaze
kabhi suraj ki kabhi zulmat ki
mar sahte hi rahe darwaze
raat-bhar chandni Takrai magar
subh hote hi khule darwaze
dekh wo 'sham' ki aahaT ubhri
dekh wo band hue darwaze
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.