jhagaD raha tha main raat se aur tera hawala bana raha tha
jhagaḌ rahā thā maiñ raat se aur tirā havāla banā rahā thā
tujhe pata hai maiñ tīrgī se abhī ujālā banā rahā thā
vo ek bachcha saḌak kināre phaTe purāne se kapḌe pahne
zamīñ pe ik chhoTe ko.ele se baḌā nivāla banā rahā thā
purāne nukkaḌ pe baiThe baiThe javān cigarette pī rahe the
purāne nukkaḌ pe baiThe baiThe faqīr maalā banā rahā thā
qalam ke TukḌoñ se canvas par baḌā pareshān ek laḌkā
ḳhudāyā terī ye tang duniyā ko Dhīlā-Dhālā banā rahā thā
sab apne apne ḳhudā ke baḳhshe tamām kāmoñ ko kar rahe the
koī banātā thā rang-o-ḳhushbū to koī bhālā banā rahā thā
makāñ se jo be-niyāz rab hai magar ye insāñ usī kī ḳhātir
kahīñ pe masjid banā rahā thā kahīñ shivāla banā rahā thā
ke do-jahānoñ ke ġham sameTe ḳhud apne lab par 'ajīb zid meñ
zamāne bhar kī ḳhamoshiyoñ se maiñ ek taalā banā rahā thā
ki dil mahalle meñ ghar banāyā banā ke khelā phir us ko toḌā
aur us pe us kā sitam ki chehre ko bholā-bhālā banā rahā thā
jhagaD raha tha main raat se aur tera hawala bana raha tha
tujhe pata hai main tirgi se abhi ujala bana raha tha
wo ek bachcha saDak kinare phaTe purane se kapDe pahne
zamin pe ek chhoTe koele se baDa niwala bana raha tha
purane nukkaD pe baiThe baiThe jawan cigarette pi rahe the
purane nukkaD pe baiThe baiThe faqir mala bana raha tha
qalam ke TukDon se canwas par baDa pareshan ek laDka
KHudaya teri ye tang duniya ko Dhila-Dhaala bana raha tha
sab apne apne KHuda ke baKHshe tamam kaamon ko kar rahe the
koi banata tha rang-o-KHushbu to koi bhaala bana raha tha
makan se jo be-niyaz rab hai magar ye insan usi ki KHatir
kahin pe masjid bana raha tha kahin shiwala bana raha tha
ke do-jahanon ke gham sameTe KHud apne lab par 'ajib zid mein
zamane bhar ki KHamoshiyon se main ek tala bana raha tha
ki dil mahalle mein ghar banaya bana ke khela phir us ko toDa
aur us pe us ka sitam ki chehre ko bhola-bhaala bana raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.