jhagDa lagaya usne sawal-o-jawab ka
jhagḌā lagāyā us ne savāl-o-javāb kā
'ālam badal gayā dil-e-nā-kāmyāb kā
ab phir rahe ho saarī ḳhudā.ī meñ be-naqāb
kyoñ tuur par ḳhayāl thā tum ko hijāb kā
ummīd par jo yaas mirī ġhālib aa ga.ī
naqsha badal gayā dil-e-pur-iztirāb kā
taare kareñge kyā ruḳh-e-raushan se sarkashī
jhuktā hai tere sāmne sar āftāb kā
saaqī manā.ūñ maiñ bhī tire mai-kade kī ḳhair
mil jaa.e mujh ko ek piyāla sharāb kā
ab tak haiñ merī ḳhaak ke zarre bhī raqs meñ
mar kar asar ye hai dil-e-pur-iztirāb kā
mash.hūr huuñ jahān meñ 'bismil' ke naam se
kushta huuñ maiñ kisī nigah-e-barq-tāb kā
jhagDa lagaya us ne sawal-o-jawab ka
'alam badal gaya dil-e-na-kaamyab ka
ab phir rahe ho sari KHudai mein be-naqab
kyon tur par KHayal tha tum ko hijab ka
ummid par jo yas meri ghaalib aa gai
naqsha badal gaya dil-e-pur-iztirab ka
tare karenge kya ruKH-e-raushan se sarkashi
jhukta hai tere samne sar aaftab ka
saqi manaun main bhi tere mai-kade ki KHair
mil jae mujh ko ek piyala sharab ka
ab tak hain meri KHak ke zarre bhi raqs mein
mar kar asar ye hai dil-e-pur-iztirab ka
mashhur hun jahan mein 'bismil' ke nam se
kushta hun main kisi nigah-e-barq-tab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.