jhagDe agar miTen to zamin bhi hasin hai
jhagḌe agar miTeñ to zamīñ bhī hasīn hai
varna jahān-e-nūr bhī shakl-e-zamīn hai
vo ek zaat hī nahīñ be-nafs jism par
tum ko yaqīñ na aa.egā mujh ko yaqīn hai
maiñ to use bhī ḳhud kī tarah māntā rahā
ab aap ne batāyā ki vo to kamīn hai
mausam ke saath ghar bhī badalnā hai aap ko
zahmat agar na ho to mirī āstīn hai
tum ko hajam baḌhāne kī tarkīb de gayā
lekin vo apne aap meñ kitnā mahīn hai
nannhī sī jaan us pe ġham-e-do-jahāñ kā baar
ai dil tujhe ḳhudā kī qasam āfrīn hai
jhagDe agar miTen to zamin bhi hasin hai
warna jahan-e-nur bhi shakl-e-zamin hai
wo ek zat hi nahin be-nafs jism par
tum ko yaqin na aaega mujh ko yaqin hai
main to use bhi KHud ki tarah manta raha
ab aap ne bataya ki wo to kamin hai
mausam ke sath ghar bhi badalna hai aap ko
zahmat agar na ho to meri aastin hai
tum ko hajam baDhane ki tarkib de gaya
lekin wo apne aap mein kitna mahin hai
nannhi si jaan us pe gham-e-do-jahan ka bar
ai dil tujhe KHuda ki qasam aafrin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.