jhalak parde se yun rah rah ke dikhlane se kya hasil
jhalak parde se yuuñ rah rah ke dikhlāne se kyā hāsil
ye ThanDī garmiyāñ bhī darmiyāñ laane se kyā hāsil
rahe jab ḳhaak pā-e-sham.a par jal kar to jalnā hai
nahīñ girya to parvānoñ ke jal jaane se kyā hāsil
abad tak saañs lene aur ġham sahne meñ lazzat hai
dayār-e-ishq meñ ghabrā ke mar jaane se kyā hāsil
nahīñ hotā hai koī kaam hargiz vaqt se pahle
umīd-o-ārzū meñ dil ko taḌpāne se kyā hāsil
na yuuñ TūTīñ na TūTeñgī kabhī zindāñ kī dīvāreñ
koī sar phoḌ kar mar jaa.e mar jaane se kyā hāsil
taras aayā hai zālim ko na aa.e kam-nasīboñ par
taras hī aa gayā jab to sitam Dhāne se kyā hāsil
agar mai-ḳhvār ik ik buuñd ko saaqī taras jaa.eñ
tire jām-o-subū se tere maiḳhāne se kyā hāsil
mohabbat kā kahīñ dāman bharā hai bhiik māñge se
tumhīñ kah do hamāre haat phailāne se kyā hāsil
abhī baaqī hai ik ummīd-e-marg-e-nā-gahāñ lekin
usī zindāñ meñ phir aa.e to mar jaane se kyā hāsil
usī ke tevaroñ ko dekhtī rahtī haiñ taqdīreñ
dil-e-rāhat-talab bechain ho jaane se kyā hāsil
'jigar' apne liye jiinā koī jiine meñ jiinā hai
na kaam aa.eñ kisī ke to jiye jaane se kyā hāsil
'jigar' hai zindagī jab tak ki garmī hai mohabbat kī
huā jab sard siina to jiye jaane se kyā hāsil
jhalak parde se yun rah rah ke dikhlane se kya hasil
ye ThanDi garmiyan bhi darmiyan lane se kya hasil
rahe jab KHak pa-e-shama par jal kar to jalna hai
nahin girya to parwanon ke jal jaane se kya hasil
abad tak sans lene aur gham sahne mein lazzat hai
dayar-e-ishq mein ghabra ke mar jaane se kya hasil
nahin hota hai koi kaam hargiz waqt se pahle
umid-o-arzu mein dil ko taDpane se kya hasil
na yun TuTin na TuTengi kabhi zindan ki diwaren
koi sar phoD kar mar jae mar jaane se kya hasil
taras aaya hai zalim ko na aae kam-nasibon par
taras hi aa gaya jab to sitam Dhane se kya hasil
agar mai-KHwar ek ek bund ko saqi taras jaen
tere jam-o-subu se tere maiKHane se kya hasil
mohabbat ka kahin daman bhara hai bhik mange se
tumhin kah do hamare hat phailane se kya hasil
abhi baqi hai ek ummid-e-marg-e-na-gahan lekin
usi zindan mein phir aae to mar jaane se kya hasil
usi ke tewaron ko dekhti rahti hain taqdiren
dil-e-rahat-talab bechain ho jaane se kya hasil
'jigar' apne liye jina koi jine mein jina hai
na kaam aaen kisi ke to jiye jaane se kya hasil
'jigar' hai zindagi jab tak ki garmi hai mohabbat ki
hua jab sard sina to jiye jaane se kya hasil
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 226)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.