Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhapki zara jo aankh jawani guzar gai

Asar Lakhnavi

jhapki zara jo aankh jawani guzar gai

Asar Lakhnavi

MORE BYAsar Lakhnavi

    jhapkī zarā jo aañkh javānī guzar ga.ī

    badlī chhāñv thī idhar aa.ī udhar ga.ī

    mashshāta-e-bahār ajab gul katar ga.ī

    muñh-band jo kalī thī khilī aur sañvar ga.ī

    pesh-e-jamāl-e-yār kiran āftāb

    sharmā ke chāhtī thī ki palTe bikhar ga.ī

    mal ke bhabhūt chehre pe tāroñ chhāñv

    dhonī ramā.e dar pe ye kis ke sahar ga.ī

    kyā jaane aañkh maar ke kyā kah ga.ī shafaq

    phūloñ god mauj-e-nasīm aa ke bhar ga.ī

    siine meñ aur taab de shole ko shauq ke

    sajda ġhalat agar na tajallī nikhar ga.ī

    terī jalva-zār hai duniyā-e-rañg-o-bū

    ai vaa.e vo nazar jo hijābāt par ga.ī

    ab haath malte haiñ ki dam-e-arz-e-mājrā

    kahne baat dhyān se kaisī utar ga.ī

    kuchh din aur kashmakash-e-zīst hai 'asar'

    achchhī burī guzarnī thī jaisī guzar ga.ī

    jhapki zara jo aankh jawani guzar gai

    badli ki chhanw thi idhar aai udhar gai

    mashshata-e-bahaar ajab gul katar gai

    munh-band jo kali thi khili aur sanwar gai

    pesh-e-jamal-e-yar kiran aaftab ki

    sharma ke chahti thi ki palTe bikhar gai

    mal ke bhabhut chehre pe taron ki chhanw ka

    dhoni ramae dar pe ye kis ke sahar gai

    kya jaane aankh mar ke kya kah gai shafaq

    phulon ki god mauj-e-nasim aa ke bhar gai

    sine mein aur tab de shole ko shauq ke

    sajda ghalat agar na tajalli nikhar gai

    teri hi jalwa-zar hai duniya-e-rang-o-bu

    ai wae wo nazar jo hijabaat par gai

    ab hath malte hain ki dam-e-arz-e-majra

    kahne ki baat dhyan se kaisi utar gai

    kuchh din ki aur kashmakash-e-zist hai 'asar'

    achchhi buri guzarni thi jaisi guzar gai

    Source :
    • Book : Range-e-Gazal (Pg. 444)
    • Author : shahzaad ahmad
    • Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
    • Edition : 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now