jharne daraKHt phul hawa tere shahr mein
jharne daraḳht phuul havā tere shahr meñ
sab chāhte haiñ terī razā tere shahr meñ
is baar dekh aisā bhī mumkin hai mere dost
maiñ apnā bhuul jā.ūñ pata tere shahr meñ
maanā ka.ī hasīn manāzir to haiñ magar
kyā dekhnā hai tere sivā tere shahr meñ
miltā nahīñ hai phir mirā paiġhām kyoñ tujhe
aatī to hogī bād-e-sabā tere shahr meñ
sunte haiñ phir vahīñ kā hī vo ho ke rah gayā
jo shaḳhs ek baar gayā tere shahr meñ
apne yahāñ to aaj bhī 'sonam' vahī hai haal
kyā kuchh nayā hai yaar batā tere shahr meñ
jharne daraKHt phul hawa tere shahr mein
sab chahte hain teri raza tere shahr mein
is bar dekh aisa bhi mumkin hai mere dost
main apna bhul jaun pata tere shahr mein
mana kai hasin manazir to hain magar
kya dekhna hai tere siwa tere shahr mein
milta nahin hai phir mera paigham kyon tujhe
aati to hogi baad-e-saba tere shahr mein
sunte hain phir wahin ka hi wo ho ke rah gaya
jo shaKHs ek bar gaya tere shahr mein
apne yahan to aaj bhi 'sonam' wahi hai haal
kya kuchh naya hai yar bata tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.