jharnon ke darmiyan se guzarne lagi hai sham
jharnoñ ke darmiyāñ se guzarne lagī hai shaam
bhīgī huī fazā se nikharne lagī hai shaam
kamre meñ bad-gumān jo rakhā thā ā.īna
hāthoñ meñ us ko le ke sañvarne lagī hai shaam
ab sub.h-e-gul-fishāñ kā zamāna qarīb hai
sehn-e-chaman meñ aa ke Thaharne lagī hai shaam
sone na degī chain se phir raat bhar mujhe
āñkhoñ meñ dhīre dhīre utarne lagī hai shaam
bosīda sī savād kī chādar ko oḌh kar
sonī galī galī se guzarne lagī hai shaam
jharnon ke darmiyan se guzarne lagi hai sham
bhigi hui faza se nikharne lagi hai sham
kamre mein bad-guman jo rakha tha aaina
hathon mein us ko le ke sanwarne lagi hai sham
ab subh-e-gul-fishan ka zamana qarib hai
sehn-e-chaman mein aa ke Thaharne lagi hai sham
sone na degi chain se phir raat bhar mujhe
aankhon mein dhire dhire utarne lagi hai sham
bosida si sawad ki chadar ko oDh kar
soni gali gali se guzarne lagi hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.