jhil ka darpan roz laja kar bel nihaara karti hai
jhiil kā darpan roz lajā kar bel nihārā kartī hai
phir chupke se lipaT peḌ se zulf sañvārā kartī hai
bachchoñ ke kanchoñ kī gūñjeñ zarā dhyān se sun lenā
mandir kī ghanTī un kī hī naql utārā kartī hai
phal de de kar ḳhush ho lenā junūñ purānā peḌoñ kā
par duniyā har pāgal ko patthar hī maarā kartī hai
laḌkī hai yā jādū-garnī vo ham mūrakh kyā jāneñ
jaadū se apne hoñToñ ko jo angāra kartī hai
nazar na lag jaa.e maañ ko vo tab sundar ho jaatī hai
jab bhī vo apne bachchoñ kī nazar utārā kartī hai
in chaTTānī rātoñ ko ik raushan tiilī toḌegī
barsoñ se ik sub.h hamārā naam pukārā kartī hai
jhil ka darpan roz laja kar bel nihaara karti hai
phir chupke se lipaT peD se zulf sanwara karti hai
bachchon ke kanchon ki gunjen zara dhyan se sun lena
mandir ki ghanTi un ki hi naql utara karti hai
phal de de kar KHush ho lena junun purana peDon ka
par duniya har pagal ko patthar hi mara karti hai
laDki hai ya jadu-garni wo hum murakh kya jaanen
jadu se apne honTon ko jo angara karti hai
nazar na lag jae man ko wo tab sundar ho jati hai
jab bhi wo apne bachchon ki nazar utara karti hai
in chaTTani raaton ko ek raushan tili toDegi
barson se ek subh hamara nam pukara karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.