jhijak kaisi hai tum bedad par bedad kar lena
jhijak kaisī hai tum bedād par bedād kar lenā
sitam-ījād ho taaza sitam ījād kar lenā
tumheñ mashq-e-jafā manzūr agar hai dil bhī hāzir hai
abhī barbād kar do phir ise ābād kar lenā
rihā.ī ho ki pābandī asiir un ke unhīñ ke haiñ
abhī pāband kar denā abhī āzād kar lenā
ba-juz is ke karūñ to kyā karūñ ai bebasī merī
kabhī ḳhāmosh rah jaanā kabhī fariyād kar lenā
ye zāhir hai ki ham majbūr haiñ kuchh kar nahīñ sakte
sitam tujh se jahāñ tak ho sake sayyād kar lenā
agar shohrat tumheñ manzūr hai ahl-e-mohabbat meñ
sabaq mehr-o-vafā kā dil lagā kar yaad kar lenā
ḳhudā nā-karda tum kyoñ paas aao nā-murādoñ ke
jo mumkin ho to un bhūle huoñ ko yaad kar lenā
jafāoñ par bhī shādāñ huuñ vafāoñ par bhī qurbāñ huuñ
mujhe tum aazmā kar apne dil ko shaad kar lenā
karo 'kaukab' vatan kī qadr kyā baiThe ho tum ġhāfil
kabhī to ḳhidmat-e-ahl-e-murādābād kar lenā
jhijak kaisi hai tum bedad par bedad kar lena
sitam-ijad ho taza sitam ijad kar lena
tumhein mashq-e-jafa manzur agar hai dil bhi hazir hai
abhi barbaad kar do phir ise aabaad kar lena
rihai ho ki pabandi asir un ke unhin ke hain
abhi paband kar dena abhi aazad kar lena
ba-juz is ke karun to kya karun ai bebasi meri
kabhi KHamosh rah jaana kabhi fariyaad kar lena
ye zahir hai ki hum majbur hain kuchh kar nahin sakte
sitam tujh se jahan tak ho sake sayyaad kar lena
agar shohrat tumhein manzur hai ahl-e-mohabbat mein
sabaq mehr-o-wafa ka dil laga kar yaad kar lena
KHuda na-karda tum kyon pas aao na-muradon ke
jo mumkin ho to un bhule huon ko yaad kar lena
jafaon par bhi shadan hun wafaon par bhi qurban hun
mujhe tum aazma kar apne dil ko shad kar lena
karo 'kaukab' watan ki qadr kya baiThe ho tum ghafil
kabhi to KHidmat-e-ahl-e-muradabaad kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.