jhilmilate hue aankhon mein sitare lamhe
jhilmilāte hue āñkhoñ meñ sitāre lamhe
mujh pe qudrat ne kuchh aise bhī utāre lamhe
bhuul jaanā tujhe mumkin to nahīñ hai lekin
jā tujhe baḳhsh diye saath guzāre lamhe
ek nuqte meñ simaT kar chale aa.e haiñ sabhī
dāstānoñ meñ the phaile hue saare lamhe
haa.e kyā din the jinheñ soch ke jī uThte haiñ
soñdhī miTTī kī tarah kore kuñvāre lamhe
aaj bhī vaj.h-e-siyādat haiñ mire vāste vo
terī qurbat ne jo do-chār sañvāre lamhe
jaise ilhām kī sūrat vo utarne lag jaa.eñ
mere hī dil pe 'qamar' sab thake haare lamhe
jhilmilate hue aankhon mein sitare lamhe
mujh pe qudrat ne kuchh aise bhi utare lamhe
bhul jaana tujhe mumkin to nahin hai lekin
ja tujhe baKHsh diye sath guzare lamhe
ek nuqte mein simaT kar chale aae hain sabhi
dastanon mein the phaile hue sare lamhe
hae kya din the jinhen soch ke ji uThte hain
sondhi miTTi ki tarah kore kunware lamhe
aaj bhi wajh-e-siyaadat hain mere waste wo
teri qurbat ne jo do-chaar sanware lamhe
jaise ilham ki surat wo utarne lag jaen
mere hi dil pe 'qamar' sab thake haare lamhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.