jhilmilate hue din-raat hamare le kar
jhilmilāte hue din-rāt hamāre le kar
kaun aayā hai hathelī pe sitāre le kar
ham use āñkhoñ kī dehrī nahīñ chaḌhne dete
niiñd aatī na agar ḳhvāb tumhāre le kar
raat laa.ī hai sitāroñ se sajī qindīleñ
sar-nigūñ din hai dhanak vaale nazāre le kar
ek ummīd baḌī duur talak jaatī hai
terī āvāz ke ḳhāmosh ishāre le kar
raat shabnam se bhigo detī hai chehrā chehrā
din chalā aatā hai āñkhoñ meñ sharāre le kar
ek din us ne mujhe paak nazar se chūmā
umr-bhar chalnā paḌā mujh ko sahāre le kar
jhilmilate hue din-raat hamare le kar
kaun aaya hai hatheli pe sitare le kar
hum use aankhon ki dehri nahin chaDhne dete
nind aati na agar KHwab tumhaare le kar
raat lai hai sitaron se saji qindilen
sar-nigun din hai dhanak wale nazare le kar
ek ummid baDi dur talak jati hai
teri aawaz ke KHamosh ishaare le kar
raat shabnam se bhigo deti hai chehra chehra
din chala aata hai aankhon mein sharare le kar
ek din us ne mujhe pak nazar se chuma
umr-bhar chalna paDa mujh ko sahaare le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.