jhilmilati hui chilman jo saja rakkhi hai
jhilmilātī huī chilman jo sajā rakkhī hai
tishnagī diid kī kuchh aur baḌhā rakkhī hai
dekh le jān-e-tamannā kabhī dil meñ aa kar
dil kī bastī tirī yādoñ se basā rakkhī hai
nafrat-o-buġhz kī āñdhī na bujhā pā.egī
ham ne vo sham’-e-vafā dil meñ jalā rakkhī hai
shukr hai terā 'ināyat hai ḳhudā-vand-e-karīm
merī 'izzat tirī rahmat ne bachā rakkhī hai
jhilmilati hui chilman jo saja rakkhi hai
tishnagi did ki kuchh aur baDha rakkhi hai
dekh le jaan-e-tamanna kabhi dil mein aa kar
dil ki basti teri yaadon se basa rakkhi hai
nafrat-o-bughz ki aandhi na bujha paegi
hum ne wo sham’-e-wafa dil mein jala rakkhi hai
shukr hai tera 'inayat hai KHuda-wand-e-karim
meri 'izzat teri rahmat ne bacha rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.