jhuk gaya pa-e-jaanan pe sar hi to hai
jhuk gayā pā-e-jānāñ pe sar hī to hai
kho ga.ī bijliyoñ meñ nazar hī to hai
ye jahāñ pattharoñ kā nagar hī to hai
saañs lenā yahāñ ik hunar hī to hai
chain se rahne detā nahīñ ek jā
ye hamārā junūn-e-safar hī to hai
rāhzan hī sahī rāh-e-manzil meñ vo
sochtā huuñ mirā ham-safar hī to hai
tum to dāman bachāte ho ab is tarah
jaise aañsū nahīñ ye sharar hī to hai
chalte rahiye jahāñ tak mile raushnī
zindagī husn kī rahguzar hī to hai
tīrgī hī ko 'nāzim' lagāo gale
ye bhī ta.abīr-e-ḳhvāb-e-sahar hī to hai
jhuk gaya pa-e-jaanan pe sar hi to hai
kho gai bijliyon mein nazar hi to hai
ye jahan pattharon ka nagar hi to hai
sans lena yahan ek hunar hi to hai
chain se rahne deta nahin ek ja
ye hamara junun-e-safar hi to hai
rahzan hi sahi rah-e-manzil mein wo
sochta hun mera ham-safar hi to hai
tum to daman bachate ho ab is tarah
jaise aansu nahin ye sharar hi to hai
chalte rahiye jahan tak mile raushni
zindagi husn ki rahguzar hi to hai
tirgi hi ko 'nazim' lagao gale
ye bhi tabir-e-KHwab-e-sahar hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.