jhuka sake na mujhe hadse mohabbat ke
jhukā sake na mujhe hādse mohabbat ke
vahī huuñ maiñ to vahī silsile mohabbat ke
ye aur baat ki tum hī ne imtihāñ na liyā
sabaq to yaad the saare mujhe mohabbat ke
talāsh kar unheñ ahrām-e-misr kī sūrat
haiñ dasht-e-dil meñ ka.ī maqbare mohabbat ke
batā.ūñ maiñ tujhe anjām-e-ārzū kaise
banā rahā huuñ abhī zā.iche mohabbat ke
havā ye kaisī chalī hai sar-e-dayār-e-vafā
bujhe bujhe haiñ diloñ meñ diye mohabbat ke
na jaane kaise marāhil haiñ us jagah darpesh
ruke hue haiñ jahāñ qāfile mohabbat ke
rah-e-vafā meñ qadam dekh bhaal kar rakhnā
kuchh itne sahl nahīñ rāste mohabbat ke
kashākash-e-ġhame-duniyā se kis ko fursat hai
karūñ maiñ kis se yahāñ mashvare mohabbat ke
zarā sā bhī mujhe ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ 'shāhid'
mahak rahe haiñ abhī gul-kade mohabbat ke
jhuka sake na mujhe hadse mohabbat ke
wahi hun main to wahi silsile mohabbat ke
ye aur baat ki tum hi ne imtihan na liya
sabaq to yaad the sare mujhe mohabbat ke
talash kar unhen ahram-e-misr ki surat
hain dasht-e-dil mein kai maqbare mohabbat ke
bataun main tujhe anjam-e-arzu kaise
bana raha hun abhi zaiche mohabbat ke
hawa ye kaisi chali hai sar-e-dayar-e-wafa
bujhe bujhe hain dilon mein diye mohabbat ke
na jaane kaise marahil hain us jagah darpesh
ruke hue hain jahan qafile mohabbat ke
rah-e-wafa mein qadam dekh bhaal kar rakhna
kuchh itne sahl nahin raste mohabbat ke
kashakash-e-ghame-duniya se kis ko fursat hai
karun main kis se yahan mashware mohabbat ke
zara sa bhi mujhe KHauf-e-KHizan nahin 'shahid'
mahak rahe hain abhi gul-kade mohabbat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.