jhurriyoñ kī qatār dekho to
umr se apnī haar dekho to
huuk be-iḳhtiyār uThtī hai
apne jab iḳhtiyār dekho to
jhiil kahte ho tum jin āñkhoñ ko
un meñ haiñ ābshār dekho to
jaane kyā kyā nazar vo aatā hai
jab use baar baar dekho to
ġhair-mumkin hai ittihād miyāñ
qaum meñ intishār dekho to
vasl se aap hī gurezāñ hoñ
lazzat-e-intizār dekho to
do hī misroñ meñ hai mukammal nazm
vus.at-e-iḳhtiyār dekho to
jhurriyon ki qatar dekho to
umr se apni haar dekho to
huk be-iKHtiyar uThti hai
apne jab iKHtiyar dekho to
jhil kahte ho tum jin aankhon ko
un mein hain aabshaar dekho to
jaane kya kya nazar wo aata hai
jab use bar bar dekho to
ghair-mumkin hai ittihad miyan
qaum mein intishaar dekho to
wasl se aap hi gurezan hon
lazzat-e-intizar dekho to
do hi misron mein hai mukammal nazm
wusat-e-iKHtiyar dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.