Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhum ke jis dam hawa chali thi

Sahir Lakhnavi

jhum ke jis dam hawa chali thi

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    jhuum ke jis dam havā chalī thī

    mere dil ko bhalī lagī thī

    parvāne to lākhoñ meñ the

    mahfil meñ ik sham.a jalī thī

    sho.aloñ par chalte haiñ kaise

    merī aql ye soch rahī thī

    sard samāñ thā ghar ke andar

    chhat par aa.e dhuup khilī thī

    tanhā.ī kahte haiñ jis ko

    merī nazar meñ terī kamī thī

    'sāhir' us ko gumāñ bahut thā

    jis patte pe zindagī thī

    jhum ke jis dam hawa chali thi

    mere dil ko bhali lagi thi

    parwane to lakhon mein the

    mahfil mein ek shama jali thi

    shoalon par chalte hain kaise

    meri aql ye soch rahi thi

    sard saman tha ghar ke andar

    chhat par aae dhup khili thi

    tanhai kahte hain jis ko

    meri nazar mein teri kami thi

    'sahir' us ko guman bahut tha

    jis ki patte pe zindagi thi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now