jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki
jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki
Jumbish Khairabadi
MORE BYJumbish Khairabadi
jhuum ke sāġhar kaun uThā.e kis ko paḌī maiḳhāne kī
saaqī ko bhī hosh nahīñ hai qismat hai paimāne kī
gulshan gulshan yuuñ phirtī hai chāk-garebāñ phuul kī ḳhushbū
jaise sabā ne phailā dī ho baat kisī dīvāne kī
dīvane-pan kī ghāTī meñ aql kā sūraj Duub chalā
shahr-e-taḳhayyul par chhā.ī hai shaam kisī vīrāne kī
saare sahāre chhūT chale haiñ sub.h kā taarā Duub chalā
phir bhī tamannā soch rahī hai baat kisī ke aane kī
zinda rah kar hī pahuñchegā pyaar kā naġhma galiyoñ galiyoñ
baat adhūrī rah jaatī hai jal-bhun kar parvāne kī
bedardoñ ke daur meñ hai 'jumbish' ḳhūn-e-tamannā hone do
koī na koī aañsū surḳhī de degā afsāne kī
jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki
saqi ko bhi hosh nahin hai qismat hai paimane ki
gulshan gulshan yun phirti hai chaak-gareban phul ki KHushbu
jaise saba ne phaila di ho baat kisi diwane ki
diwane-pan ki ghaTi mein aql ka suraj Dub chala
shahr-e-taKHayyul par chhai hai sham kisi virane ki
sare sahaare chhuT chale hain subh ka tara Dub chala
phir bhi tamanna soch rahi hai baat kisi ke aane ki
zinda rah kar hi pahunchega pyar ka naghma galiyon galiyon
baat adhuri rah jati hai jal-bhun kar parwane ki
bedardon ke daur mein hai 'jumbish' KHun-e-tamanna hone do
koi na koi aansu surKHi de dega afsane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.