jhum le hans-bol le pyari agar hai zindagi
jhuum le hañs-bol le pyārī agar hai zindagī
saañs ke bas ek jhoñke kā safar hai zindagī
der hī bante bigaḌte kuchh ise lagtī nahīñ
phuul kī dīvār par shabnam kā ghar hai zindagī
zindagī meñ jo bhī karnā chāhtā hai kar guzar
kyā ḳhabar barsoñ kī hai yā lamha-bhar hai zindagī
ajnabī hālāt se bhī hañs ke milnā chāhiye
har qadam par muḌne vaalī rahguzar hai zindagī
bhejtā rahtā huuñ jaane apnī sāñseñ kis ke naam
yār-e-nā-ma.alūm kī ik nāma-bar hai zindagī
dasht meñ niklo to kāñTā hai thakan hai gard hai
naav meñ baiTho to lagtā hai bhañvar hai zindagī
tā-abad is se na TūTegā 'muzaffar' rābta
maut se aage adam ke naam par hai zindagī
jhum le hans-bol le pyari agar hai zindagi
sans ke bas ek jhonke ka safar hai zindagi
der hi bante bigaDte kuchh ise lagti nahin
phul ki diwar par shabnam ka ghar hai zindagi
zindagi mein jo bhi karna chahta hai kar guzar
kya KHabar barson ki hai ya lamha-bhar hai zindagi
ajnabi haalat se bhi hans ke milna chahiye
har qadam par muDne wali rahguzar hai zindagi
bhejta rahta hun jaane apni sansen kis ke nam
yar-e-na-malum ki ek nama-bar hai zindagi
dasht mein niklo to kanTa hai thakan hai gard hai
naw mein baiTho to lagta hai bhanwar hai zindagi
ta-abad is se na TuTega 'muzaffar' rabta
maut se aage adam ke nam par hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.