jhuT kahte hain ki aawaz laga sakta hai
jhuuT kahte haiñ ki āvāz lagā saktā hai
Dūbne vaalā faqat haath hilā saktā hai
aur phir chhoḌ gayā vo jo kahā kartā thā
kaun bad-baḳht tujhe chhoḌ ke jā saktā hai
rāsta bhūlnā 'ādat hai purānī us kī
yā'nī ik roz vo ghar bhuul ke aa saktā hai
shart itnī hai ki tū us meñ faqat merā ho
phir to ik ḳhvāb ka.ī baar dikhā saktā hai
aañkh buntī hai kisī ḳhvāb kā tānā-bānā
ḳhvāb bhī vo jo mirī niiñd uḌā saktā hai
us ne kyā soch ke sauñpā hai kahānī meñ mujhe
aisā kirdār jo parde bhī girā saktā hai
mere razzāq se kartī hai mirī bhuuk savāl
kyā yahīñ rizq ke vā'de ko nibhā saktā hai
tum na mānoge magar mere chale jaane par
ik na ik roz tumheñ sabr bhī aa saktā hai
jhuT kahte hain ki aawaz laga sakta hai
Dubne wala faqat hath hila sakta hai
aur phir chhoD gaya wo jo kaha karta tha
kaun bad-baKHt tujhe chhoD ke ja sakta hai
rasta bhulna 'adat hai purani us ki
ya'ni ek roz wo ghar bhul ke aa sakta hai
shart itni hai ki tu us mein faqat mera ho
phir to ek KHwab kai bar dikha sakta hai
aankh bunti hai kisi KHwab ka tana-bana
KHwab bhi wo jo meri nind uDa sakta hai
us ne kya soch ke saunpa hai kahani mein mujhe
aisa kirdar jo parde bhi gira sakta hai
mere razzaq se karti hai meri bhuk sawal
kya yahin rizq ke wa'de ko nibha sakta hai
tum na manoge magar mere chale jaane par
ek na ek roz tumhein sabr bhi aa sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.