jhuT ki manDi mein sach le kar aaya hai
jhuuT kī manDī meñ sach le kar aaya hai
sach kahnā kis ne tujh ko bahkāyā hai
raat ga.e aahaT sun kar kyoñ dhaḌkā hai
ai mere dil aisā kyā yaad aaya hai
sachchā hai to Dar kaisā hai khul kar bol
ā.īne ko dekh ke kyoñ sharmāyā hai
maañg rahā hai mujh se mujh ko vo kuchh yuuñ
har jumle meñ dhamkī kā rang aaya hai
zulm ko hī insāf kahā jaa.e ab se
rāj-mahal se ye sandesa aaya hai
sūraj ko gar us se matlab koī nahīñ
chāñd kā chehra phir kis ne jhulsāyā hai
jangal meñ ab us kā kyā thā so thak kar
aaj parinda pinjre meñ lauT aaya hai
jhuT ki manDi mein sach le kar aaya hai
sach kahna kis ne tujh ko bahkaya hai
raat gae aahaT sun kar kyon dhaDka hai
ai mere dil aisa kya yaad aaya hai
sachcha hai to Dar kaisa hai khul kar bol
aaine ko dekh ke kyon sharmaya hai
mang raha hai mujh se mujh ko wo kuchh yun
har jumle mein dhamki ka rang aaya hai
zulm ko hi insaf kaha jae ab se
raj-mahal se ye sandesa aaya hai
suraj ko gar us se matlab koi nahin
chand ka chehra phir kis ne jhulsaya hai
jangal mein ab us ka kya tha so thak kar
aaj parinda pinjre mein lauT aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.