jhuT ko sach ke libaade mein nahin rakkhunga
jhuuT ko sach ke libāde meñ nahīñ rakkhūñgā
maiñ kisī shaḳhs ko dhoke meñ nahīñ rakkhūñgā
maiñ ugal Dālūñgā jo kuchh bhī hai mere dil meñ
tiir paivast maiñ siine meñ nahīñ rakkhūñgā
zindagī tujh pe maiñ likkhūñgā fasāna aur phir
koī raa.e tire baare meñ nahīñ rakkhūñgā
apne hī baazū pe rakkhūñgā bharosa ab ke
maiñ duāoñ ko safīne meñ nahīñ rakkhūñgā
baañT le jo mirī tanhā.ī mirā ġham aisī
koī bhī chiiz maiñ kamre meñ nahīñ rakkhūñgā
jhuT ko sach ke libaade mein nahin rakkhunga
main kisi shaKHs ko dhoke mein nahin rakkhunga
main ugal Dalunga jo kuchh bhi hai mere dil mein
tir paiwast main sine mein nahin rakkhunga
zindagi tujh pe main likkhunga fasana aur phir
koi rae tere bare mein nahin rakkhunga
apne hi bazu pe rakkhunga bharosa ab ke
main duaon ko safine mein nahin rakkhunga
banT le jo meri tanhai mera gham aisi
koi bhi chiz main kamre mein nahin rakkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.