jhuT par jhuT key bhar-mar liye phirta hai
jhuuT par jhuuT key bhar-mār liye phirtā hai
vo mere shahar meñ aḳhbār liye phirtā hai
zindagī film hai is film meñ rahne ke liye
aadmī saikḌoñ kirdār liye phirtā hai
us ko allāh key tāqat pe bharosa hī nahīñ
haath meñ apne jo talvār liye phirtā hai
terī rahmat ke farishtoñ ko ai mere maulā
apne kāñdhoñ pe gunahgār liye phirtā hai
sāl-hā-sāl jiyūñ us key duā thī varna
kab davā shauq meñ bīmār liye phirtā hai
shā.irī sirf bahānā hai merī jān-e-ġhazal
dar-ba-dar mujh ko terā pyaar liye phirtā hai
tujh ko mālūm ho terī hī galī meñ 'ābid'
tere dīdār key darkār liye phirtā hai
jhuT par jhuT key bhar-mar liye phirta hai
wo mere shahar mein aKHbar liye phirta hai
zindagi film hai is film mein rahne ke liye
aadmi saikDon kirdar liye phirta hai
us ko allah key taqat pe bharosa hi nahin
hath mein apne jo talwar liye phirta hai
teri rahmat ke farishton ko ai mere maula
apne kandhon pe gunahgar liye phirta hai
sal-ha-sal jiyun us key dua thi warna
kab dawa shauq mein bimar liye phirta hai
shairi sirf bahana hai meri jaan-e-ghazal
dar-ba-dar mujh ko tera pyar liye phirta hai
tujh ko malum ho teri hi gali mein 'abid'
tere didar key darkar liye phirta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.