jhuT par uske bharosa kar liya
jhuuT par us ke bharosā kar liyā
dhuup itnī thī ki saayā kar liyā
ab hamārī mushkileñ kuchh kam huiiñ
dushmanoñ ne ek chehrā kar liyā
haath kyā aayā sajā kar mahfileñ
aur bhī ḳhud ko akelā kar liyā
hārne kā hausla to thā nahīñ
jiit meñ dushman kī hissa kar liyā
manziloñ par ham mileñ ye tai huā
vāpsī meñ saath pakkā kar liyā
saarī duniyā se laḌe jis ke liye
ek din us se bhī jhagḌā kar liyā
qurb kā us ke uThā kar fā.eda
hijr kā sāmāñ ikaTThā kar liyā
guftugū se hal to kuchh niklā nahīñ
ranjishoñ ko aur taaza kar liyā
mol thā har chiiz kā bāzār meñ
ham ne tanhā.ī kā saudā kar liyā
jhuT par us ke bharosa kar liya
dhup itni thi ki saya kar liya
ab hamari mushkilen kuchh kam huin
dushmanon ne ek chehra kar liya
hath kya aaya saja kar mahfilen
aur bhi KHud ko akela kar liya
haarne ka hausla to tha nahin
jit mein dushman ki hissa kar liya
manzilon par hum milen ye tai hua
wapsi mein sath pakka kar liya
sari duniya se laDe jis ke liye
ek din us se bhi jhagDa kar liya
qurb ka us ke uTha kar faeda
hijr ka saman ikaTTha kar liya
guftugu se hal to kuchh nikla nahin
ranjishon ko aur taza kar liya
mol tha har chiz ka bazar mein
hum ne tanhai ka sauda kar liya
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 69)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.