jhuT sach KHwab yaqin wahm guman marte hain
jhuuT sach ḳhvāb yaqīñ vahm gumāñ marte haiñ
jo kahīñ bhī nahīñ marte vo yahāñ marte haiñ
salb ho jā.egī bīnā.ī hamesha ke liye
terī āñkhoñ meñ agar ḳhvāb-rasāñ marte haiñ
jiine lag jaa.eñ to ham jiite haiñ be-naqsh-o-numūd
marne lag jaa.eñ to benām-o-nishāñ marte haiñ
shor ke lutf se ālūd haiñ sab galiyāñ aur
kisī kone meñ paḌe ahl-e-zabāñ marte haiñ
kisī maz.har se numūdār nahīñ ho paate
āḳhirash gum-shuda-e-zīst kahāñ marte haiñ
kachchī umroñ meñ ġhalat faisle karte haiñ 'zamān'
tere māyūs hamesha se javāñ marte haiñ
jhuT sach KHwab yaqin wahm guman marte hain
jo kahin bhi nahin marte wo yahan marte hain
salb ho jaegi binai hamesha ke liye
teri aankhon mein agar KHwab-rasan marte hain
jine lag jaen to hum jite hain be-naqsh-o-numud
marne lag jaen to benam-o-nishan marte hain
shor ke lutf se aalud hain sab galiyan aur
kisi kone mein paDe ahl-e-zaban marte hain
kisi mazhar se numudar nahin ho pate
aaKHirash gum-shuda-e-zist kahan marte hain
kachchi umron mein ghalat faisle karte hain 'zaman'
tere mayus hamesha se jawan marte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.