jhuTi duniya jhuTi maya
jhūTī duniyā jhūTī maayā
kaun hai apnā kaun parāyā
umr gañvā.ī thaah na paa.ī
ishq meñ kuchh bhī haath na aaya
prem-nagar kī riit na.ī hai
jis ne khoyā us ne paayā
un kī ḳhushī hai yaad na aa.eñ
ham ne kab un ko dil se bhulāyā
TuuTe dil ko joḌ na paa.e
is ko dikhāyā us ko dikhāyā
de hī diyā dil un ko āḳhir
baiThe-biThā.e rog lagāyā
ġham ke maare aise so.e
jaag na paa.e laakh jagāyā
kaun kisī kā tere sivā thā
tū ne beḌā paar lagāyā
jaan ga.e ham 'nāshād' āḳhir
jhūTe jag kī jhūTī maayā
jhuTi duniya jhuTi maya
kaun hai apna kaun paraya
umr ganwai thah na pai
ishq mein kuchh bhi hath na aaya
prem-nagar ki rit nai hai
jis ne khoya us ne paya
un ki KHushi hai yaad na aaen
hum ne kab un ko dil se bhulaya
TuTe dil ko joD na pae
is ko dikhaya us ko dikhaya
de hi diya dil un ko aaKHir
baiThe-biThae rog lagaya
gham ke mare aise soe
jag na pae lakh jagaya
kaun kisi ka tere siwa tha
tu ne beDa par lagaya
jaan gae hum 'nashad' aaKHir
jhuTe jag ki jhuTi maya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.