jhuTi haqiqaton ki tarah log mar gae
jhūTī haqīqatoñ kī tarah log mar ga.e
lekin diloñ pe naqsh vo tasvīr kar ga.e
samjheñge apnī 'umr kā qissa tamām hai
rang-e-ḳhizāñ ko dekh ke jis roz Dar ga.e
sab ko jalā ke raakh huī mausamoñ kī aag
sab ko Dubo ke dekhiye dariyā utar ga.e
chiḌiyoñ ne jis pe aas ke Dere jamā.e the
nangī haiñ us kī Dāliyāñ patte bikhar ga.e
'fikrī' barastī shaam sī hai dopahar magar
niklī zarā sī dhuup to chehre nikhar ga.e
jhuTi haqiqaton ki tarah log mar gae
lekin dilon pe naqsh wo taswir kar gae
samjhenge apni 'umr ka qissa tamam hai
rang-e-KHizan ko dekh ke jis roz Dar gae
sab ko jala ke rakh hui mausamon ki aag
sab ko Dubo ke dekhiye dariya utar gae
chiDiyon ne jis pe aas ke Dere jamae the
nangi hain us ki Daliyan patte bikhar gae
'fikri' barasti sham si hai dopahar magar
nikli zara si dhup to chehre nikhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.