jidhar bhi dekhen wahi rawayye munafiqon ke
jidhar bhī dekheñ vahī ravayye munāfiqoñ ke
samajh meñ dukh ham ko aa rahe haiñ payambaroñ ke
khulī huī haiñ jo khiḌkiyāñ vo bhī adh-khulī haiñ
na jaane kab se haiñ dar muqaffal yahāñ gharoñ ke
anā mirī hai abhī bhī har maslahat pe haavī
lahū meñ utre haiñ tajribe sab masāfatoñ ke
nā-āshnā hai har ek shāḳh-e-shajar samar se
daraḳht saare Dase hue haiñ ye bārishoñ ke
ajab taġhayyur-pasand us kī huī hai aadat
badalte rahte haiñ roz me.aar chāhatoñ ke
ugī hai fasl-e-najāt jaise ḳhizāñ meñ 'safdar'
yuuñ sar-burīda badan paḌe haiñ musāfiroñ ke
jidhar bhi dekhen wahi rawayye munafiqon ke
samajh mein dukh hum ko aa rahe hain payambaron ke
khuli hui hain jo khiDkiyan wo bhi adh-khuli hain
na jaane kab se hain dar muqaffal yahan gharon ke
ana meri hai abhi bhi har maslahat pe hawi
lahu mein utre hain tajribe sab masafaton ke
na-ashna hai har ek shaKH-e-shajar samar se
daraKHt sare Dase hue hain ye barishon ke
ajab taghayyur-pasand us ki hui hai aadat
badalte rahte hain roz mear chahaton ke
ugi hai fasl-e-najat jaise KHizan mein 'safdar'
yun sar-burida badan paDe hain musafiron ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.