jidhar bhi dekho wahin nazar mein tanhai
jidhar bhī dekho vahīñ nazar meñ tanhā.ī
phailā ga.ī hai puure ghar meñ tanhā.ī
bhiiḌ bahut hai lekin mujh ko lagtā hai
sirf chalegī saath safar meñ tanhā.ī
aane vaalī pīḌhī kī qismat dekho
unheñ mileñge nagar nagar meñ tanhā.ī
patte bhī hilte haiñ par ḳhāmoshī se
DhūñD rahī hai havā shajar meñ tanhā.ī
man kā ḳhālī-pan ḳhālī hai kuchh itnā
dil bhī tanhā aur jigar meñ tanhā.ī
tanhā.ī se Dar jaane kā ġham kaisā
mushkil se miltī hai ghar meñ tanhā.ī
jidhar bhi dekho wahin nazar mein tanhai
phaila gai hai pure ghar mein tanhai
bhiD bahut hai lekin mujh ko lagta hai
sirf chalegi sath safar mein tanhai
aane wali piDhi ki qismat dekho
unhen milenge nagar nagar mein tanhai
patte bhi hilte hain par KHamoshi se
DhunD rahi hai hawa shajar mein tanhai
man ka KHali-pan KHali hai kuchh itna
dil bhi tanha aur jigar mein tanhai
tanhai se Dar jaane ka gham kaisa
mushkil se milti hai ghar mein tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.