jidhar dekhiye hai qayamat ki duniya
jidhar dekhiye hai qayāmat kī duniyā
musībat hai goyā mohabbat kī duniyā
tire husn kī nūr-afshāniyoñ se
hai ma.amūr har dam mohabbat kī duniyā
dil-e-muztarib aisā mumkin kahāñ hai
masarrat dikhā.e mohabbat kī duniyā
kabhī hasratoñ se kabhī āfatoñ se
hai ābād har-dam mohabbat kī duniyā
na jā 'faiz' duniyā kī rañgīniyoñ par
sarāsar hai dhoka mohabbat kī duniyā
jidhar dekhiye hai qayamat ki duniya
musibat hai goya mohabbat ki duniya
tere husn ki nur-afshaniyon se
hai mamur har dam mohabbat ki duniya
dil-e-muztarib aisa mumkin kahan hai
masarrat dikhae mohabbat ki duniya
kabhi hasraton se kabhi aafaton se
hai aabaad har-dam mohabbat ki duniya
na ja 'faiz' duniya ki ranginiyon par
sarasar hai dhoka mohabbat ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.