jidhar munh apne ko wo isi-e-zaman phere
jidhar muñh apne ko vo ī.sī-e-zamāñ phere
to ik nigāh se mardoñ ke tan meñ jaañ phere
vo to hai kāfir-e-rahzan ki ik ishāre meñ
jo samt ka.abe ke jaatā ho kārvāñ phere
tirī jafāoñ se yuuñ dil ke pherne ke liye
kahe hazār koī tujh se par kahāñ phere
kar ai aziiz har ik nek-o-bad kī dil meñ raah
na kar vo kaam ki muñh tujh se yak jahāñ phere
nazar na aave kabhū ek baar agar us ke
karūñ hazār maiñ kūche ke darmiyāñ phere
jidhar munh apne ko wo isi-e-zaman phere
to ek nigah se mardon ke tan mein jaan phere
wo to hai kafir-e-rahzan ki ek ishaare mein
jo samt kabe ke jata ho karwan phere
teri jafaon se yun dil ke pherne ke liye
kahe hazar koi tujh se par kahan phere
kar ai aziz har ek nek-o-bad ki dil mein rah
na kar wo kaam ki munh tujh se yak jahan phere
nazar na aawe kabhu ek bar agar us ke
karun hazar main kuche ke darmiyan phere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.