jidhar se tir chala koi mehrban nikla
jidhar se tiir chalā koī mehrbāñ niklā
tavaqquāt se baḌh kar vo mezbāñ niklā
samar se pahle shajar kaaT kar jalā Daale
ki jald-bāz bahut ab ke bāġhbāñ niklā
ajiib rañg huā ab ke merī nagrī kā
ki jo bhī shahr meñ niklā vo be-amāñ niklā
ye kis azaab ne bastī ko merī gher liyā
ki chūlhe sard rahe yaañ magar dhuāñ niklā
savāl ye hai sabab kis se qatl kā pūchheñ
ki jis ne qatl kiyā vo hī be-zabāñ niklā
hamāre baad bhī kyā zeb-e-dār hogā koī
yahī savāl mirā zeb-e-dāstāñ niklā
ham apnī aql ko ilzām deñ ki qismat ko
hamāre daur meñ rahzan bhī pāsbāñ niklā
jabīñ jhukī to zamīñ uTh ke ājizī se milī
jo sar uThā to bahut duur āsmāñ niklā
rahe haiñ ham to 'karāmat' ga.e dinoñ ke naqīb
ki ham se ahd nayā saḳht bad-gumāñ niklā
jidhar se tir chala koi mehrban nikla
tawaqquat se baDh kar wo mezban nikla
samar se pahle shajar kaT kar jala Dale
ki jald-baz bahut ab ke baghban nikla
ajib rang hua ab ke meri nagri ka
ki jo bhi shahr mein nikla wo be-aman nikla
ye kis azab ne basti ko meri gher liya
ki chulhe sard rahe yan magar dhuan nikla
sawal ye hai sabab kis se qatl ka puchhen
ki jis ne qatl kiya wo hi be-zaban nikla
hamare baad bhi kya zeb-e-dar hoga koi
yahi sawal mera zeb-e-dastan nikla
hum apni aql ko ilzam den ki qismat ko
hamare daur mein rahzan bhi pasban nikla
jabin jhuki to zamin uTh ke aajizi se mili
jo sar uTha to bahut dur aasman nikla
rahe hain hum to 'karamat' gae dinon ke naqib
ki hum se ahd naya saKHt bad-guman nikla
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 530)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.