jigar ka KHun aansu mein agar shamil nahin hoga
jigar kā ḳhuun aañsū meñ agar shāmil nahīñ hogā
ye motī armuġhān-e-dost ke qābil nahīñ hogā
hasīñ ḳhvāboñ kī duniyā muztarib jazbāt kī bastī
tumheñ kyūñkar yaqīn aaya ye merā dil nahīñ hogā
shikasta saaz hai TuuTā huā sāġhar hai dil merā
mirā dil bā.is-e-rangīnī-e-mahfil nahīñ hogā
tumhārā sang-e-dar merī jabīn-e-shauq kyā kahiye
ye sang-e-dar harīf-e-sajda-e-sā.il nahīñ hogā
mujhī se zid hai daur-e-āsmāñ aur daur-e-sāġhar ko
mujhe kyoñ mudda.ā-e-zindagī hāsil nahīñ hogā
mirī kashtī huī hai jā ke āsūda jahāñ 'fitrat'
fanā kī mauj hogī dekhnā sāhil nahīñ hogā
jigar ka KHun aansu mein agar shamil nahin hoga
ye moti armughan-e-dost ke qabil nahin hoga
hasin KHwabon ki duniya muztarib jazbaat ki basti
tumhein kyunkar yaqin aaya ye mera dil nahin hoga
shikasta saz hai TuTa hua saghar hai dil mera
mera dil bais-e-rangini-e-mahfil nahin hoga
tumhaara sang-e-dar meri jabin-e-shauq kya kahiye
ye sang-e-dar harif-e-sajda-e-sail nahin hoga
mujhi se zid hai daur-e-asman aur daur-e-saghar ko
mujhe kyon muddaa-e-zindagi hasil nahin hoga
meri kashti hui hai ja ke aasuda jahan 'fitrat'
fana ki mauj hogi dekhna sahil nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.