jigar ko dekh ke zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
jigar ko dekh ke zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
mire aziiz mire chārāgar ko dekhte haiñ
paḌī hai sāmne jaise kisī aziiz kī laash
ham is nazar se dil-e-be-ḳhabar ko dekhte haiñ
kaTeñgī maut ke hāthoñ ye beḌiyāñ ik din
is ek aas ko aur umr bhar ko dekhte haiñ
guzar rahī hai asīrān-e-bad-nasīb kī yuuñ
kabhī qafas ko kabhī bāl-o-par ko dekhte haiñ
phir aa ke hasrateñ dam toḌtī haiñ ḳhvāb meñ kyā
udaas dil jo ham itnā sahar ko dekhte haiñ
sitam-kashoñ ko ye kyā ḳhuub chup kī daad milī
jab aañkh khultī hai turbat se ghar ko dekhte haiñ
ajal ko dekh ke sūjhā ma.aal hastī kā
sahar ko dekh ke sham-e-sahar ko dekhte haiñ
khulā hai ab ke hai hastī kā ek naam gunāh
tabāh-hālī-e-ahl-e-hunar ko dekhte haiñ
pahuñch ke manzil-e-hastī pe hosh uḌe 'beḳhud'
ki rāhzan thā jo ab rāhbar ko dekhte haiñ
jigar ko dekh ke zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
mere aziz mere chaaragar ko dekhte hain
paDi hai samne jaise kisi aziz ki lash
hum is nazar se dil-e-be-KHabar ko dekhte hain
kaTengi maut ke hathon ye beDiyan ek din
is ek aas ko aur umr bhar ko dekhte hain
guzar rahi hai asiran-e-bad-nasib ki yun
kabhi qafas ko kabhi baal-o-par ko dekhte hain
phir aa ke hasraten dam toDti hain KHwab mein kya
udas dil jo hum itna sahar ko dekhte hain
sitam-kashon ko ye kya KHub chup ki dad mili
jab aankh khulti hai turbat se ghar ko dekhte hain
ajal ko dekh ke sujha maal hasti ka
sahar ko dekh ke sham-e-sahar ko dekhte hain
khula hai ab ke hai hasti ka ek nam gunah
tabah-haali-e-ahl-e-hunar ko dekhte hain
pahunch ke manzil-e-hasti pe hosh uDe 'beKHud'
ki rahzan tha jo ab rahbar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.