jigar ko KHun kiye dil ko be-qarar abhi
jigar ko ḳhuun kiye dil ko be-qarār abhī
bhaTak rahe haiñ tire ishq meñ hazār abhī
isī liye to ye duniyā dhulī dhulī sī lage
tire firāq meñ ro.e haiñ zār-zār abhī
adā-e-ḳhār se gulshan kī baḌh ga.ī zīnat
agarche phūloñ ke dāman haiñ taar taar abhī
siyāh-baḳht fazāoñ meñ dil huā bad-zan
tirī zabān ke tevar haiñ āb-dār abhī
abhī na niklegā hāsil hamārī bātoñ kā
tumhāre sar pe hai saaya koī savār abhī
ye dekhte haiñ ki kal rañg-e-sub.h kyā hogā
ki āftāb kā 'ālam' hai intizār abhī
jigar ko KHun kiye dil ko be-qarar abhi
bhaTak rahe hain tere ishq mein hazar abhi
isi liye to ye duniya dhuli dhuli si lage
tere firaq mein roe hain zar-zar abhi
ada-e-KHar se gulshan ki baDh gai zinat
agarche phulon ke daman hain tar tar abhi
siyah-baKHt fazaon mein dil hua bad-zan
teri zaban ke tewar hain aab-dar abhi
abhi na niklega hasil hamari baaton ka
tumhaare sar pe hai saya koi sawar abhi
ye dekhte hain ki kal rang-e-subh kya hoga
ki aaftab ka 'alam' hai intizar abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.