jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata
jigar se jaan se pyāre kahāñ hai kuchh to batā
har ek dil ke sahāre kahāñ hai kuchh to batā
tirī talāsh meñ khoī huī hai chashm-e-falak
zamīñ ke rāj-dulāre kahāñ hai kuchh to batā
masarratoñ se thā labrez dil kā paimāna
mirī ḳhushī ke sahāre kahāñ hai kuchh to batā
jo tū nahīñ hai to phailī huī hai tārīkī
mire chamakte sitāre kahāñ hai kuchh to batā
dil-e-'ra.īs' ko hai kaif-e-zindagī kī talāsh
hayāt-e-nau ke ishāre kahāñ hai kuchh to batā
jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata
har ek dil ke sahaare kahan hai kuchh to bata
teri talash mein khoi hui hai chashm-e-falak
zamin ke raj-dulare kahan hai kuchh to bata
masarraton se tha labrez dil ka paimana
meri KHushi ke sahaare kahan hai kuchh to bata
jo tu nahin hai to phaili hui hai tariki
mere chamakte sitare kahan hai kuchh to bata
dil-e-'rais' ko hai kaif-e-zindagi ki talash
hayat-e-nau ke ishaare kahan hai kuchh to bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.