jigar thame hue yan talib-e-didar baiThe hain
jigar thame hue yan talib-e-didar baiThe hain
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
jigar thāme hue yaañ tālib-e-dīdār baiThe haiñ
maze vaañ lūTne ko bazm meñ aġhyār baiThe haiñ
faqat itnā kahā thā tum zarā sūrat dikhā jaao
ye sun kar aaj mujh se vo bahut bezār baiThe haiñ
mohabbat un se kyā kī le liyā koh-e-alam sar par
mujhe badnām karne ko sar-e-bāzār baiThe haiñ
zarā maqtal meñ tum aa kar nikālo apne ḳhanjar ko
yahāñ ham qatl hone ke liye tayyār baiThe haiñ
chalā to hai 'azīz' un kī galī meñ shauq se lekin
qadam rakhnā sañbhal kar vo bane ayyār baiThe haiñ
jigar thame hue yan talib-e-didar baiThe hain
maze wan luTne ko bazm mein aghyar baiThe hain
faqat itna kaha tha tum zara surat dikha jao
ye sun kar aaj mujh se wo bahut bezar baiThe hain
mohabbat un se kya ki le liya koh-e-alam sar par
mujhe badnam karne ko sar-e-bazar baiThe hain
zara maqtal mein tum aa kar nikalo apne KHanjar ko
yahan hum qatl hone ke liye tayyar baiThe hain
chala to hai 'aziz' un ki gali mein shauq se lekin
qadam rakhna sanbhal kar wo bane ayyar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.