jihad-e-ishq mein hum aashiqon ko war dena
jihād-e-ishq meñ ham āshiqoñ ko vaar denā
ye qurbānī ḳhudā taufīq de sau baar denā
basārat ḳhuub hai ab munsifī bhī us kī dekho
ab us se ā.īna le kar use talvār denā
zabāñ ke zahr kī koī gavāhī de na paa.e
agar bosa diyā bhī to pas-e-dīvār denā
sune haiñ tazkire us ke magar dekhī nahīñ hai
mohabbat paas se guzre to kuhnī maar denā
tirā miTTī ko miTTī ke liye tayyār karnā
use shakkar-bhare lab phuul se ruḳhsār denā
jihad-e-ishq mein hum aashiqon ko war dena
ye qurbani KHuda taufiq de sau bar dena
basarat KHub hai ab munsifi bhi us ki dekho
ab us se aaina le kar use talwar dena
zaban ke zahr ki koi gawahi de na pae
agar bosa diya bhi to pas-e-diwar dena
sune hain tazkire us ke magar dekhi nahin hai
mohabbat pas se guzre to kuhni mar dena
tera miTTi ko miTTi ke liye tayyar karna
use shakkar-bhare lab phul se ruKHsar dena
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 194)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.