ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se
jī bahaltā hī nahīñ saañs kī jhankāroñ se
phoḌ luuñ sar na kahīñ jism kī dīvāroñ se
apne riste hue zaḳhmoñ pe chhiḌak letā huuñ
raakh jhaḌtī hai jo ehsās ke añgāroñ se
giit gā.ūñ to lapak jaate haiñ sho.ale dil meñ
saaz chheḌūñ to nikaltā hai dhuāñ tāroñ se
kāsa-e-sar liye phirtī haiñ vafā.eñ ab bhī
ab bhī teshoñ kī sadā aatī hai kohsāroñ se
zinda lāsheñ bhī dukānoñ meñ sajī haiñ shāyad
bū-e-ḳhūñ aatī hai khulte hue bāzāroñ se
kyā mire aks meñ chhup jā.eñge un ke chehre
itnā pūchhe koī un ā.ina-bardāroñ se
pyaar har-chand jhalaktā hai un āñkhoñ se magar
zaḳhm bharte haiñ 'muzaffar' kahīñ talvāroñ se
ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se
phoD lun sar na kahin jism ki diwaron se
apne riste hue zaKHmon pe chhiDak leta hun
rakh jhaDti hai jo ehsas ke angaron se
git gaun to lapak jate hain shoale dil mein
saz chheDun to nikalta hai dhuan taron se
kasa-e-sar liye phirti hain wafaen ab bhi
ab bhi teshon ki sada aati hai kohsaron se
zinda lashen bhi dukanon mein saji hain shayad
bu-e-KHun aati hai khulte hue bazaron se
kya mere aks mein chhup jaenge un ke chehre
itna puchhe koi un aaina-bardaron se
pyar har-chand jhalakta hai un aankhon se magar
zaKHm bharte hain 'muzaffar' kahin talwaron se
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 217)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.