ji bhar ke kabhi yar ka jalwa nahin dekha
jī bhar ke kabhī yaar kā jalva nahīñ dekhā
dekhā bhī to is tarah ki goyā nahīñ dekhā
marne kā nahīñ ġham magar is baat kā ġham hai
us ne mire marne kā tamāshā nahīñ dekhā
jhurmuT meñ rahe ġhamza-e-tamkīn-o-hayā ke
ḳhalvat meñ bhī un ko kabhī tanhā nahīñ dekhā
kis zor pe kis josh pe hai un kī javānī
thamte kabhī siine pe dupaTTa nahīñ dekhā
āñkhoñ meñ phire aur vo āñkhoñ se chhupe bhī
āñkhoñ ne is andāz kā parda nahīñ dekhā
ḳhalvat meñ 'jigar' yaad kiyā karte ho kis ko
milte tumheñ logoñ se ziyāda nahīñ dekhā
ji bhar ke kabhi yar ka jalwa nahin dekha
dekha bhi to is tarah ki goya nahin dekha
marne ka nahin gham magar is baat ka gham hai
us ne mere marne ka tamasha nahin dekha
jhurmuT mein rahe ghamza-e-tamkin-o-haya ke
KHalwat mein bhi un ko kabhi tanha nahin dekha
kis zor pe kis josh pe hai un ki jawani
thamte kabhi sine pe dupaTTa nahin dekha
aankhon mein phire aur wo aankhon se chhupe bhi
aankhon ne is andaz ka parda nahin dekha
KHalwat mein 'jigar' yaad kiya karte ho kis ko
milte tumhein logon se ziyaada nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.