ji bhi chuke hain KHwab jo ab dekhte hain hum
jī bhī chuke haiñ ḳhvāb jo ab dekhte haiñ ham
kuchh ik baras to saath bhī us ke rahe haiñ ham
vo ġhair kī huī ye chalo maan bhī liyā
aatā nahīñ yaqīñ ki kisī aur ke haiñ ham
ham ko na dekh aaj tujhe ye ḳhabar nahīñ
kal tak the koī aaj koī dūsre haiñ ham
sochā kareñ haiñ lauT chaleñ us ke shahr ko
DhūñDhā kareñ ki kaun jagah kho ga.e haiñ ham
ġhazleñ paḌho to haal hamārā pata chale
achchhe haiñ pūchhne pe yahī bolte haiñ ham
ji bhi chuke hain KHwab jo ab dekhte hain hum
kuchh ek baras to sath bhi us ke rahe hain hum
wo ghair ki hui ye chalo man bhi liya
aata nahin yaqin ki kisi aur ke hain hum
hum ko na dekh aaj tujhe ye KHabar nahin
kal tak the koi aaj koi dusre hain hum
socha karen hain lauT chalen us ke shahr ko
DhunDha karen ki kaun jagah kho gae hain hum
ghazlen paDho to haal hamara pata chale
achchhe hain puchhne pe yahi bolte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.