ji chahta hai shaiKH ke pagDi utariye
jī chāhtā hai shaiḳh kī pagḌī utāriye
aur taan kar chaTāḳh se ek dhol māriye
sotoñ ko pichhle pahr bhalā kyuuñ pukāriye
darvāza khulne kā nahīñ ghar ko sidhār.iye
kyā sarv akaḌ rahā hai khaḌā jūebār par
Tuk aap bhī to is ghaḌī siina ubhāriye
ye kārḳhāna dekhiye Tuk aap dhyān se
bas suun khīñch jaa.e yahāñ dam na māriye
nāseh ne mere haq meñ kahā ahl-e-bazm se
bigḌī huī ko aah kahāñ tak sañvāriye
'inshā' ḳhudā ke fazl pe rakhiye nigāh aur
din hañs ke kaaT Dāliye himmat na hāriye
ji chahta hai shaiKH ki pagDi utariye
aur tan kar chaTaKH se ek dhol mariye
soton ko pichhle pahr bhala kyun pukariye
darwaza khulne ka nahin ghar ko sidhaariye
kya sarw akaD raha hai khaDa juebar par
Tuk aap bhi to is ghaDi sina ubhaariye
ye karKHana dekhiye Tuk aap dhyan se
bas sun khinch jae yahan dam na mariye
naseh ne mere haq mein kaha ahl-e-bazm se
bigDi hui ko aah kahan tak sanwariye
'insha' KHuda ke fazl pe rakhiye nigah aur
din hans ke kaT Daliye himmat na haariye
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.