ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai
ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai
Aziz Hamid Madni
MORE BYAziz Hamid Madni
jī-dāro! dozaḳh kī havā meñ kis kī mohabbat jaltī hai
tez dahaktī aag zamīñ par ḳhandaq ḳhandaq chaltī hai
āsebī sī sham.eñ le kar sayyāroñ meñ ghuum ga.ī
koī havā aisī hai ki duniyā niiñd meñ uTh kar chaltī hai
kohsāroñ kī barf pighal kar dariyāoñ meñ jā niklī
kuchh to pās-e-āb-e-ravāñ kar nabz-e-junūñ kyā chaltī hai
raat kī raat Thaharne vaale vaqt-e-ḳhush kī baat samajh
sub.h to ik darvāza-e-ġham par duniyā āñkheñ maltī hai
ḳhush-bū shahr-e-badī kā jaadū ek hadīs-e-tilism huī
hauz meñ khiltā gul-e-bakā.ulī ḳhush-bū is meñ paltī hai
qindīl-e-rāhib kā jaadū āsebī tāroñ ke moḌ
kaaT ke vaqt kī ik parchhā.īñ ḳhvāb-numā sī chaltī hai
shams o qamar kī ḳhākistar meñ ruuh thī ik ārā.ish kī
duniyā biich meñ jā ke khaḌī hai aur libās badaltī hai
ḳhākistar dil kī thī āḳhir miltī raakh meñ tāroñ kī
ātish-e-mahr sā jast sā kartī bujhte bujhte jaltī hai
mutrib-e-ḳhush-āvāz huī hai zaḳhm-āvar āhañg-e-balā
vo jo mire hisse kī lai thī tere gale meñ Dhaltī hai
ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai
tez dahakti aag zamin par KHandaq KHandaq chalti hai
aasebi si shamen le kar sayyaron mein ghum gai
koi hawa aisi hai ki duniya nind mein uTh kar chalti hai
kohsaron ki barf pighal kar dariyaon mein ja nikli
kuchh to pas-e-ab-e-rawan kar nabz-e-junun kya chalti hai
raat ki raat Thaharne wale waqt-e-KHush ki baat samajh
subh to ek darwaza-e-gham par duniya aankhen malti hai
KHush-bu shahr-e-badi ka jadu ek hadis-e-tilism hui
hauz mein khilta gul-e-bakauli KHush-bu is mein palti hai
qindil-e-rahib ka jadu aasebi taron ke moD
kaT ke waqt ki ek parchhain KHwab-numa si chalti hai
shams o qamar ki KHakistar mein ruh thi ek aaraish ki
duniya bich mein ja ke khaDi hai aur libas badalti hai
KHakistar dil ki thi aaKHir milti rakh mein taron ki
aatish-e-mahr sa jast sa karti bujhte bujhte jalti hai
mutrib-e-KHush-awaz hui hai zaKHm-awar aahang-e-bala
wo jo mere hisse ki lai thi tere gale mein Dhalti hai
- Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 468)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.