ji hech jaan hech na dil ne jigar aziz
jī hech jaan hech na dil ne jigar aziiz
sab se sivā hai vasl tirā fitna-gar aziiz
aa.ī ḳhabar jo us kī to jā.egī apnī jaan
ab to barābar apne huā nāma-bar aziiz
le jaa.eñ apnī be-hunaroñ pās-e-iltijā
rakhte haiñ log is liye kasb-e-hunar aziiz
rahne na de jo vahshat-e-dil hī to kyā karūñ
vo kaun hai ki jis ko nahīñ apnā ghar aziiz
'sālik' shab-e-visāl meñ nafrat hai jis qadar
us se ziyāda hai shab-e-furqat sahar aziiz
ji hech jaan hech na dil ne jigar aziz
sab se siwa hai wasl tera fitna-gar aziz
aai KHabar jo us ki to jaegi apni jaan
ab to barabar apne hua nama-bar aziz
le jaen apni be-hunaron pas-e-iltija
rakhte hain log is liye kasb-e-hunar aziz
rahne na de jo wahshat-e-dil hi to kya karun
wo kaun hai ki jis ko nahin apna ghar aziz
'salik' shab-e-visal mein nafrat hai jis qadar
us se ziyaada hai shab-e-furqat sahar aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.