ji jae magar na wo pari jae
jī jaa.e magar na vo parī jaa.e
yārab na hamārī dil-lagī jaa.e
dil hijr meñ jaa.e yā ki jī jaa.e
jis kā jī chāhe vo abhī jaa.e
is gil kā na vasl ho na jī jaa.e
kyūñki mere dil kī be-kalī jaa.e
tum la.al-e-lab apne gar dikhāo
phir sū-e-yaman na jauharī jaa.e
is ġhuncha-dahan kī bū na laa.e
dikhlā.e na muñh sabā chalī jaa.e
sauġhāt kī tarah pesh-e-majnūñ
beḌī aur merī hathkaḌī jaa.e
sābit hai jab pahāḌ-e-vahshat
jab tak dāman hamārā sī jaa.e
ġhairoñ ko to mai pilā.e saaqī
maiñ māñgūñ to saaf sun ke pī jaa.e
ham-rāh ho parvarish-e-alī bhī
yaañ se jo karbalā 'saḳhī' jaa.e
ji jae magar na wo pari jae
yarab na hamari dil-lagi jae
dil hijr mein jae ya ki ji jae
jis ka ji chahe wo abhi jae
is gil ka na wasl ho na ji jae
kyunki mere dil ki be-kali jae
tum lal-e-lab apne gar dikhao
phir su-e-yaman na jauhari jae
is ghuncha-dahan ki bu na lae
dikhlae na munh saba chali jae
saughat ki tarah pesh-e-majnun
beDi aur meri hathkaDi jae
sabit hai jab pahaD-e-wahshat
jab tak daman hamara si jae
ghairon ko to mai pilae saqi
main mangun to saf sun ke pi jae
ham-rah ho parwarish-e-ali bhi
yan se jo karbala 'saKHi' jae
- Book : Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-148 page-141)
- Author : Aaqa Mirza Ali Sahab
- Publication : Daruttaba Bandobast Haidrabad (1882)
- Edition : 1882
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.