jī kar har mausam likhte haiñ
haañ jī haañ ham kam likhte haiñ
vo jo pī kar rum likhte haiñ
aksar apnā ġham likhte haiñ
jis ko koī poñchh na paa.e
us siyāhī se ham likhte haiñ
urdu ko hindī meñ likh kar
ab vo ġham ko gum likhte haiñ
maiñ jis ko laavā likhtā huuñ
us ko vo shabnam likhte haiñ
vo dil meñ utre bhī kaise
jin ke sirf qalam likhte haiñ
logoñ kī kyā vo chīḳhoñ ko
hañs hañs kar sargam likhte haiñ
ġhazleñ paḌh kar tum likhte ho
lekin kah kar ham likhte haiñ
ġhazloñ ke ghāyal āñgan meñ
vo kaise chham-chham likhte haiñ
ji kar har mausam likhte hain
han ji han hum kam likhte hain
wo jo pi kar rum likhte hain
aksar apna gham likhte hain
jis ko koi ponchh na pae
us siyahi se hum likhte hain
urdu ko hindi mein likh kar
ab wo gham ko gum likhte hain
main jis ko lawa likhta hun
us ko wo shabnam likhte hain
wo dil mein utre bhi kaise
jin ke sirf qalam likhte hain
logon ki kya wo chiKHon ko
hans hans kar sargam likhte hain
ghazlen paDh kar tum likhte ho
lekin kah kar hum likhte hain
ghazlon ke ghayal aangan mein
wo kaise chham-chham likhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.