ji kar tamam zindagi zinda-dili se hum
jī kar tamām zindagī zinda-dilī se ham
qissa likheñge tīrgī pe raushnī se ham
ham ko najāt-e-ġham kī tavaqqo hai ḳhud se hī
rakhte nahīñ umiid jahāñ meñ kisī se ham
logoñ ne jo savāl-e-vajūd ab talak kiye
deñge javāb un ke magar ḳhāmushī se ham
aanā hai to ḳhud aa.e samandar hamāre paas
le kar anā chale haiñ ye luuni nadī se ham
ye ḳhaak jism ḳhaak meñ mil jā.egā magar
zinda raheñge mar ke yahīñ shā.erī se ham
is 'ārzū' meñ umr guzārī hai aaj tak
ik din to mil hī jā.eñge apnī ḳhushī se ham
ji kar tamam zindagi zinda-dili se hum
qissa likhenge tirgi pe raushni se hum
hum ko najat-e-gham ki tawaqqo hai KHud se hi
rakhte nahin umid jahan mein kisi se hum
logon ne jo sawal-e-wajud ab talak kiye
denge jawab un ke magar KHamushi se hum
aana hai to KHud aae samandar hamare pas
le kar ana chale hain ye luni nadi se hum
ye KHak jism KHak mein mil jaega magar
zinda rahenge mar ke yahin shaeri se hum
is 'arzu' mein umr guzari hai aaj tak
ek din to mil hi jaenge apni KHushi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.