ji liye par man nahin bhar pae hum
jī liye par man nahīñ bhar paa.e ham
ek ḳhālī-pan nahīñ bhar paa.e ham
ḳhud se rusvā ho ga.e ham aur phir
ḳhud meñ apnā-pan nahīñ bhar paa.e ham
dil meñ jo kuchh bhī thā patthar ho gayā
āñkhoñ meñ sāvan nahīñ bhar paa.e ham
ruuh jaise saath tere chal basī
baa'd tere tan nahīñ bhar paa.e ham
pyaar karnā to sikhāyā thā use
par divāna-pan nahīñ bhar paa.e ham
ghar meñ jo būḌhā shajar thā gir gayā
phir kabhī āñgan nahīñ bhar paa.e ham
dil jo ik sadme ne be-sudh kar diyā
dil meñ phir dhaḌkan nahīñ bhar paa.e ham
ji liye par man nahin bhar pae hum
ek KHali-pan nahin bhar pae hum
KHud se ruswa ho gae hum aur phir
KHud mein apna-pan nahin bhar pae hum
dil mein jo kuchh bhi tha patthar ho gaya
aankhon mein sawan nahin bhar pae hum
ruh jaise sath tere chal basi
ba'd tere tan nahin bhar pae hum
pyar karna to sikhaya tha use
par diwana-pan nahin bhar pae hum
ghar mein jo buDha shajar tha gir gaya
phir kabhi aangan nahin bhar pae hum
dil jo ek sadme ne be-sudh kar diya
dil mein phir dhaDkan nahin bhar pae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.