ji mein aata hai aaina dekhun
jī meñ aatā hai aa.ina dekhūñ
hāl-e-dil us meñ ḳhushnumā dekhūñ
jab haqīqat ho sāmne mere
kyā muqaddar kā maiñ likhā dekhūñ
vaqt ke be-karāñ samundar meñ
ḳhud ko har lamha Dūbtā dekhūñ
aaj apnoñ ke biich rishtoñ meñ
har ghaḌī baḌhtā fāsla dekhūñ
raah chalte jo mil gayā thā 'majīd'
umr-bhar us kā rāsta dekhūñ
ji mein aata hai aaina dekhun
haal-e-dil us mein KHushnuma dekhun
jab haqiqat ho samne mere
kya muqaddar ka main likha dekhun
waqt ke be-karan samundar mein
KHud ko har lamha Dubta dekhun
aaj apnon ke bich rishton mein
har ghaDi baDhta fasla dekhun
rah chalte jo mil gaya tha 'majid'
umr-bhar us ka rasta dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.