ji mein aata hai ki ek roz ye manzar dekhen
jī meñ aatā hai ki ik roz ye manzar dekheñ
sāmne tujh ko biThā.eñ tujhe shab-bhar dekheñ
band hai shaam se hī shahr kā har darvāza
aa shab-e-hijr ki ab aur koī ghar dekheñ
aise ham dekhte haiñ dil ke ujaḌne kā samāñ
jis tarah dāsiyāñ jaltā huā mandar dekheñ
mere jañgal meñ hī mañgal kā samāñ hai paidā
shahr ke log mire gaañv meñ aa kar dekheñ
ji mein aata hai ki ek roz ye manzar dekhen
samne tujh ko biThaen tujhe shab-bhar dekhen
band hai sham se hi shahr ka har darwaza
aa shab-e-hijr ki ab aur koi ghar dekhen
aise hum dekhte hain dil ke ujaDne ka saman
jis tarah dasiyan jalta hua mandar dekhen
mere jangal mein hi mangal ka saman hai paida
shahr ke log mere ganw mein aa kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.